Aur Aditya Part - 1
Yeh kahani hain Pushkar ki aur uski ek aise ehsaas ki jo uski zindagi bhaar picha nahi choorne wala. 2015 mein Pushkar apne hometown Kolkata se Bangalore shift hua, ek MNC mein job ,dheer sare sapne aur apni aap ko jan ne ke liye yeh shayad uska akhri mauka tha. 26 saal ka Pushkar swabhab se to chanchal tha hi par uski yeh swabhab sabko maloom nahi tha. Hum sabhi kayeen sare mukhotey pehnte hain zindagi bhaar, kabhi duniya se bachne ke liye kabhi khudh se bachne ke liye, Pushkar ka gambhir swabhab ka hona aisa hi ek mukhota tha, uska ladkiyon jaisa hona use kahin sabke hansi ka wajah na bana de, Isi liye sab ke samne ek gambhir swabhab ka dikhawa karta tha woh. Sabse door door rehna, apne mein hi khoye rehna, dost nahin bana na etc etc. Par kehte hain na Hum kitne bhi apne apko duniya se chupaye , khud se chup nahi sakte . Jo Pushkar bahar shant , akela rehta tha , ghar mein woh jaise ek andhi jaisa tha, Andhi shayad ek galat labz hain , par ghar mein woh belagam, bebak , khooshnuma insaan ban jata jo kabhi dance steps perfect karne mein, kabhi bahtareen kuch cook karne mein ya phir kabhi kuch kavita likhne mein busy rehta . Aisa kayeen bar hua uske akele ghar mein , uske books, cooking aur pasandida cheeson ke beech mein hi , uska akela pan use dhukhi aur udhas kar deta . Apne sahar mein phir bhi uske family aur do dost thein, par iss naye sahar mein woh bilkul ekla tha. Dheere dheere jaise hi din beet te gaye, Pushkar ka ekla pan uske katne ko ata . Weekdays mein office or Bangalore ki bhayanak traffic mein kab din bit jaate pata hi nahin chalta , par weekends gradually uske liye ek nightmare jaise banne laga . Pushkar BTM Lake ke ek posh area mein rehta tha, Apne building mein kisi se bhi uske zyada batein nahin hoti thi , sibae 2nd floor ke 6 years old priya ke alaba . Pushkar always wanted a cat , jo uske parents ko kabhi pasand nahin tha, par priya ke cat Milu se milke Pushkar bahat khush ho jata , Priya ke saath uski dosti Milu ke through hi huyi thi . Akela Pushkar apne azadi, apna new flat aur new job se khush toh tha, par use uske akele pan se darr lagne laga tha. Har roz share cab mein jab bhi woh wapas ata , koi handsome ladka dekhte hi use khayal ata kash yeh uska boyfriend hota. Kabhi perfume, kabhi lip balm bahat kuch try kiye take koi attaract ho usse , padh use kya maloom , jis desh mein Gay hona jurm hain, woha pe koi ladka agar random ladke se attract bhi hoon , woh khudh kabhi bhi approach nahi karta. Aise hi ekdin ,subah yoga ke baad apne hi balcony mein chai ke chuskion ke sath Pushkar subah ko enjoy kar raha tha, tabhi use laga ke koi jaise use ghur raha hain kahin se , ass pass koi nahin dikha par aisa laga kisi ki nazre use dhoondh raha hain . Nextday morning mein office jane ke time pe, kisi ne use piche se bulaya , “Hey hi, black shirt and baze paint , I am talking to you, your wallet has fallen” , Pushkar ne mudke dekha ek kafi lamba ladka, jo ki light blue formal shirt and Off white paint mein tha , uska wallet pakad ke khada hain, Pushkar ne ek baar acche se use dekha aur halka sa smile kiya. Us ladke ne bhi smile kiye aur wallet wapas kiya. Usne apna parichay diya , Uska naam Aditya Malhotra hain, woh Delhi se hain aur Yahan 2 saal se reh raha hain . Baaton baaton mein dono ko hi pata chala woh log ek hi techpark mein job karte hain , aur Aditya ne kawi baar Pushkar ko Office area mein dekha hain . Yeh bhi pata chala ke dono ki domain bhi same hain , aur Aditya pushkar se umar bhi kareeb 3 saal elder hain . Pushkar ko Aditya kafin accha laga , Woh uske pass kafin sukraguzar hain , ke wallet uske wajah se kho nahi gaya . Iss beech ek autowala mann gaya aur dono sath mein hi office ke liye chala gaye . Auto mein Aditya ne zyada baat nahin kiya , Pushkar ko toh waise bhi sharmila type ka hain . Thodi idhar udhar ki baaton ke baad woh log office pahach gaye. Office mein kaam mein use Aditya ka khayal bhi nahin tha, Lautne ke time pein jab woh cab book kar raha tha toh Aditya ka dhayan aya , Abhi woh akela tha, aur Aditya ke barien mein soch ne laga , use sirf Aditya ka Height aur uski smile yaad aya . Itne dino mein pehli baar Pushkar ko thoda hasi ayi , subah ke embarassing situation ke bare mein soch ke . Next day Shyam ke waqt bahat barish ho rahi thi,office se laut ne ke time pein, woh Cab se ja hi raha tha , usne aditya ko Ek Laptop bag pakde huye ek bandh shop ke neeche wait karte huye dekha , Woh adha bheeg chuka tha, Yeh pehli baar tha , jab Pushkar ko uske well maintainted toned body par nazar gaya. Pushkar ne Aditya ko bulaya ” Hey Aditya, come to this cab Man, I am leaving” Aditya ne itne barish mein Pushkar ko cab mein dekh ke kafi khush hua . Cab mein dono kafi der tak phase rahe , Bangalore ki traffic pehle bar Pushkar ko irritating nahin lag rahi thi. Woh dono idhar udhar ki baat kar rahe the , phir Aditya ne Pushkar ko kahan woh Freelancing ke projects mein kaam karta hain, uske pass abhi do projects hain, Agar Pushkar kar na chahe toh accha hoga. Pushkar ne jhat se haan bol diya , use laga weekend pein uske pass bahat time rehta hain, aur Aditya ka sath time bitane ka mauka bhi mile ga . Kuch din baad, Aditya ko Pushkar ne apne ghar pein khane pe invite kiya , Kyunke , Aditya Punjabi tha, issi liye usne kucH Chicken ke preperations banaye aur ready ho gaya. Usne ek peech color ka sleeveless tshirt pehna jo ke kafi low neck tha aur ek printed designed shorts pehna . Woh phone pe mummy se baat kar hi raha tha tabhi Door bell baji, Aditya aa gaya tha. Yeh pehli baar tha Pushkar ne Aditya ne usse casual cloths mein dekha, Aditya sirf 6.3 ft Tall hi nahi tha, uske kabhi acche body bhi the, jo uske wine color ke tshirt se ubhar ke nikal raha tha. Ek aur cheese Pushkar ne notice kiya, Woh kafin hairy tha. Jab woh usse dekha ek pal jaise dekhta hi reh gaya .