Hamara Landlord-1
Gay Chudai
Main Satyam, 26 saal ka married, software engineer hu. Main aur meri biwi Ritu, jo ki meri hi age ki thi, sath mein Mumbai ke ek ilaake mein rehte the. Ritu ek fashion designer thi. Hamari shaadi ko 4 saal ho chuke the. Lekin hamara koi bachha nahi tha, kyunki Ritu ko apne career par focus karna tha. Hamari life mein sab kuch sahi chal raha tha. Par COVID ne hamari life palat ke rakh di thi. Meri job jaa chuki thi. Ritu ka bhi business theek se nahi chal raha tha. Maine haalaki baad mein freelancing shuru kiya tha, lekin usse hamara kharcha nahi chal raha tha. Sabse bafi dikkat ye thi ki hamne 3 saal se ghar ka rent nahi pay kiya tha. Jisko lekar hum kaafi tensed rehte the. Kyunki hamare landlord Yadav ji bahut hi powerful aadmi tha. Har koi unse darta tha, unki izzat karta tha. Hame darr tha ki kabhi wo hamare yaha na aa jaye rent ke liye. Aisi baat nahi ke unhone humse rent nahi maanga. Lekin hum kaise na kaise karke unhe taal rahe the. Aur aise hi darr-darr ke reh rahe the 3 saal se. Ek din subha ki baat hai. Sunday tha, isliye hum dono hi der tak so rahe the. Itne mein doorbell bajne ki awaaz aayi. Ritu uth ke gayi darwaza kholne. 1 minute baad Ritu haanfte hue aayi mere paas. Main poochne laga ki kya hua. Ritu boli: Yadav ji aaye hai. Ye sunke meri bhi haalat tight ho gayi. Fir bhi maine Ritu ko shant kiya aur hum dono living room mein gaye jaha pe Yadav ji, hamare landlord, baithe hue the. Yadav ji ki age 55-60 ke beech thi. Kaafi lambe the, 6 feet se upar inki height hogi. Rang saawla, ek-dum gatheela badan. Ek time pe pehalwani karte the. Unki awaaz mein itna dum tha ki saamne waale ki pant geeli ho jaye agar wo chilla de to. Pehalwani chhodh ke bahut saal pehle unhone housing ka business shuru kiya tha. Bahut saare apartments hai unke poore Mumbai mein. Unme se hi ek mein hum rehte the. Khair, hum dono jab living room mein gaye to dekha ki Yadav ji sofe pe baithe hue the. Hame dekhte hi wo bolne lage- Yarav ji: Aao-aao, baitho. Kya haal-chaal hai? Maine kaampti hue awaaz mein bola: Arre Yadav ji, kaise hai? Itni subha-subha yaha kaise aana hua? Yadav ji: Arre pehle aake baitho to sahi. Main aur Ritu baith gaye unke paas waale sofe pe. Unhone mere hath calculator de diya. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha. Maine bola: Yadav ji, aap mujhe ye calculator kyun de rahe ho? Yadav ji: Ek hisaab karna hai. Main to thehra anpad-gawaar aadmi. Hisaab kamzor hai. Tum hi madad kar do. Main (Abhi bhi kuch nahi samajh kar): Boliye kya hisaab karna hai? Yadav ji: Zara hisaab lagao to 12 guna 15 hazaar kitne hote hai? Main samajh gaya ki wo kya keh rahe the. Hamare flat ka rent 15 hazar maheena tha, jo hamne 3 saal se nahi diya. Jiski wajah se hum bahut dino se pareshan bhi the. Maine Ritu ki taraf dekha to uske bhi paseene choot rahe the. To maine turant Yadav ji ke saamne hath jod liye. Main: Yadav ji, hum aapke saare paise lauta denge. Bas hame kuch din ki mauhlat aur de dijiye. Ye bol kar main gidgidane laga. Lekin Yadav ji fir bhi bolne lage- Yadav ji: Kya hua Bhai, hisaab karo. Maine darte hue calculator mein hisaab kiya. Yadav ji: Kitna hua? Main: 1 lakh 80 hazaar. Yadav ji: Ab iska 3 guna kitna hota hai, ye hisaab karo to zara? Main: 5 lakh 40 hazar. Yadav ji: Kab doge? Main: Yadav ji, hame maaf kar do. Hum koshish kar rahe hai paise jama karne ki. Lekin hame thoda time chahiye. Yadav ji achanak uthe, aur khidki ke paas jaake khade ho gaye. Unhone hum dono ki taraf dekh ke ek halki muskan di. Unki muskan mein shaitani jhalak rahi thi. Hum dono hi darr gaye. Ritu ne mera hath kass ke pakad liya. Yadav ji bole: Main tumhare karze maaf kar doonga. Ek bhi paisa nahi dena padega. Lekin meri ek shart hai. Hum dono ye sun ke thode se chaunk gaye. Kyunki wo aise insan nahi the jo apni udhari maaf kar de. Hum khud pareshan the ye soch ke ki unhone hame 3 saal tak kuch nahi kaha. Ritu ne ye sunke turant bola: Hame aapki saari sharte manzoor hai. Wo bole: Pehle shart to sun lo. Hamne poocha ki kya shart thi. Wo bole: Tumhe ek saal tak meri biwi banke rehna hoga mere paas. Ye sun ke hum dono ke pairon tale se zameen khisak gayi. Yadav ji ne ye kya bol diya. Main gusse mein chillane laga- Main: Ye aap kya bol rahe hai? Apni biwi ko aapke paas nahi doonga main. Aap nikal jaiye abhi ke abhi. Meri baat sun ke wo gussa nahi hue. Balki unke chehre ki muskaan aur bhi chaudi ho gayi. Wo bole: Main Ritu ki nahi, tumhari baat kar raha hu. Ye sunke hum pehle se bhi chaunk gaye. Ritu bol uthi: Ye aap kya keh rahe hai? Sattu kaise aapki biwi banega? Yadav ji ne apna phone nikala aur usme se kuch hame dikhane ke liye firse hamare saamne aake baithe. Unhone Ritu ke hath mein apna phone dete hue bola- Yadav ji: Aise. Hamne phone pe dekha to waha ek ladki ki photo thi, jo ki ek traditional saree pehne hue thi. Wo ladki aur koi nahi main tha. Main bachpan se hi bahut sundar tha. Gora rang tha mera, body pe baal ek-dum naa ke barabar the. Height bhi sirf sare 5 feet thi. Maa mujhe kabhi-kabhi meri behen ki frocks pehna deti thi, to logon ko lagta tha ki main ladki tha. Maine apni padhayi boys college mein ki thi. Waha pe main drama team mein kaam karta tha. Aur hamesha mujhe waha pe ladki ka role karna hota tha. Ramleela mein Sita, Mahabharata mein Draupadi, Laila Majnu, Romeo Juliet aise jitne bhi plays hamne kiye the, sab mein maine hi heroine ka roll kiya tha. College mein isliye mere bahut fans the. Bahut se ladkon ne hostel mein mujhe propose bhi kiya tha iske liye. Main ab bhi waisa hi dikhta tha. Kabhi-kabhi Ritu mujhe apni saree pehna deti thi timepass ke liye. Tab main usse bhi sundar dikhta tha. Wo tab mazaak mein bolti thi, “Aaj tu meri biwi aur main tera pati. Chal aake mere pair choo.” Lekin hame ye nahi samajh aa raha tha, ki Yadav ji ke paas meri photo kaha se aayi. To wo bole: Main tere college ke function gaya tha ek baar. Wahi ki drama company ki heroine pe mera dil aa gaya tha. Pata lagaya to pata chale ki wo tu tha. Iske baad se meri tere upar nazar thi.