Kumar Apartment : Season 2 – Part 62.1 (Shradha Ke Sang Subah Ka Rang)
Narrated by Amit Hello dosto, main Amit, kafi din ho gaye aaplogo ko apne taraf se kuch bata kar. Aaj ek aur nayi subah Kumar apartment mein aur aaj ki pahli kahani mere taraf se hogi. Pichle baar aaplogo ne padha ki kiss tarah main apne uncle, yani ke Swati ke papa se apne ek dost ki shadi mein jane ki baat ki. Par baat woh nahi thi. Ab tak to shayad aap logo ko pata chal hi gaya hoga. Woh darasal Shradha ne mujhe pichli raat call karke batayi ki uski saheli Neetu ko mujhse kuch kaam hai. Issi silsile mein Shradha chahti thi ki main Neetu ka koi rishtedaar bankar uske yaha jaun. Par Shradha kuch zyada batayi nahi mujhe bas subah jaldi nikalne ko boli. Neetu issi apartment mein kisi flat mein rahti hai. Par mujhe nahi pata, issi liye subah Shradha mujhe apne ghar pahle aane ko boli. Theek 8:30 baje main aunty ke kuch sawalo ke jawaab dekar jaise taise ghar se nikal hi gaya. Khair achchi baat ye thi ki uncle aur Swati ab bhi so hi rahe the. Pata nahi uncle kyu aaj itna so rahe the. Jo bhi ho theek 8:30 baje main Shradha ke yaha pahuncha. Darwaaze ki ghanti bajate hi woh turant khol di mano woh bhi meri intezaar mein thi. Darwaaze ke khulte hi use dekh sachme pyar hi ho jaye. Subah ki woh neendh se uthi aankhe aur uljhe bikhre baal. Uske ek hath mein coffee ki cup thi aur shayad woh sirf ek robe pahni hui thi jo uski jangho tak thi. Woh mujhe dekh hasti hui bol padi: Itni jaldi? Main: Haan tum hi to boli thi. Shradha mere hath pakad andar kheechi aur darwaza band kar boli: Haan par mujhe laga nahi tum itni jaldi uth jaoge. Main uske uljhe balo mein ungliyo ko phasa kar khelta hua bola: Tum mujhe raat ke 3 baje bhi bulaogi to bhi aa jaunga. Shradha: Woh kyu? Main apne bag jisme mere kuch kapde the use neeche rakha. Fir Shradha ko pakad kheechte hue apne baanho mein le kar bola: Hamesha mujhe tarsaane ke liye aise robe mein rahti ho kya? Shradha: Haan, tarsaungi tabhi to mujhe fayda hai. Main haste hue uski naak ko choom kar bola: To fir sari pehanlona. Shradha: Kyu? Main: Utaarne mein aur zyada maza aata hai. Shradha: Hahaha, sari ho ya kuch bhi tum bas mujhe nange banana mein hi rahte ho. Chalo ab in baato ko choro aur chalke baitho. Main: Baithe ya laete? Shradha meri banho se nikali. Mere hath pakad apne sofe ke taraf le jati hui boli: Aao abhi batati hun tumhe Neetu ke yaha kyu bhej rahi hun. Main uske sath jakar baith bola: Haan woh batao pahle, ho kya raha hai. Shradha: Woh na hmm… Neetu ki bhabhi hai uske ghar, Bhawna naam hai uska, tum nahi jante use. Main: Hmmm… nahi suna kabhi. Shradha: Darasal Bhawna ke husband bhi Neetu ke husband ke sath London mein kaam karte hai. Main: Ok. Shradha: Aur kal Bhawna ne apne ghar yani ki Neetu ke ghar hi apne kisi door ke cousin bhai ko kuch dino ke liye bulayi hai. Main: Hmmm… Woh kaon? Shradha: Usne uska naam Akash batayi hai ghar pe. Par actually woh uska koi bhai waayi nahi hai. Main: Ehh! To? Shradha: Wahi to maze ki baat hai. Ab suno, kal subah yaad hai tumhe Shobha aayi thi yaha. Main: Haan. Kal jo aayi thi, yaad hai mujhe. Shradha: Ye Akash darasal Shobha ka dewar hai jo uske yaha rahta hai. Matlab 2-3 din pahle hi aaya hai shayad. Main: To fir Bhawna usko apna bhai kyu bata rahi hai? Shradha meri jangh par halke se maar boli: Wahi to maze ki baat hai. Dekho is apartment mein ye sari shadi shuda aurate, kal ki woh Shobha, ye Bhawna, Neetu aur meri saheli Payal sab ke sab chudakkad biwiya hai, samjhe. Main muskurata hua bola: Matlab. Shradha: Sab ke sab, apne pati ke peet peeche maze karte hai. Main: Matlab woh wala maza. Shradha: Haan wahi, sex ka maza! Mere tann badan mein Shradha ki baat sun ajeeb si masti ubharne lagi. Kya sachme is apartment ki sari mahilaaye aisi hi hai? Shradha: Kya soch kar muskura rahe ho? Main: Nahi nahi soch raha tha ki kya sach hai ye sab? Shradha: Haan aur parso raat ye Bhawna Shobha ke ghar thi Akash ke sath. Main: Aur ye Shobha ka pati? Shradha: Woh kahi bahar hai abhi kuch dino ke liye shayad. Main: Haan to matlab abhi Akash Neetu ke yaha Bhawna ke sath masti kar raha hai. Shradha: Hmmm, pata nahi, par Neetu jab ye sab jaani to woh to Bhawna ki zindagi ujaadne ki soch rahi thi. Main: Haan aur nahi to kya aisi biwiyo ko to sare aam… Shradha: Chup, aise nahi sochte. Agar aisi biwiya hai to tum jaise mard hi to banate ho, woh mat bhoolo. Shradha ki baat sahi thi, agar iski saheli Payal apne pati ko dhoka de rahi hai to uske dhoke mein main bhi to hissedar hun. Main bola: Sorry sorry matlab, sorry. Shradha: Kabhi dubara bole aise to jaan lena, aisi betuki soch nikalo manse. Main: Ok ok, ab aage bolo. Shradha: Tab main hi Neetu ko roki ki woh aisa kuch na kare, khamakha Bhawna ki zindagi barbaad na kare. Par iske badle mein woh mujhse kuch mangi. Main: Woh kya? Shradha: Tum! Main: Main? Shradha: Haan Neetu chahti hai ki tum bhi uska koi bankar unke ghar jaaye. Main: Woh kyu? Shradha: Ye woh tumhe samjha degi. Use hi samjhane do to ache se samjhayegi. Main: Hmmm… aur kaon hai uske ghar mein? Shradha: Neetu ke maa baap hai, Bhawna ke sans sasur. Main: Oh teri, unke samne hi Bhawna is Akash ko apne ghar…? Shradha: Haan, aur ab tum bhi Neetu ke liye jaoge waha. Bas jaane se pahle Neetu ka number doongi use call kar lena. Nahi to main hi kar dungi. Main: Hmmm, to matlab agar main jaun to fir main yaha aa sakta hun ya nahi? Shradha: Nahi, agle 2 din tum wahi rahoge. Main: Matlab to main tumse mil nahi paunga? Shradha: Nahi. Mere chehre par ye sun ek nirasha chha gayi ki agle 2 din sachme main Shradha se mil nahi paunga. Mere chehre par udasi dekh woh mere kareeb aayi aur mere kandhe par hath daal boli: Ab udaas mat ho, bas do din ki hi to baat hai. Mere muh se aur koi shabd na nikli to woh mujhe chor uth khadi hui. Woh boli: Waise Neetu boli ki tum kuch 10 baje tak jaaye waha. To abhi hamare paas 1 ghante se zyada waqt hai. Itna kahkar woh apne robe ko khol neeche girayi. Ek choti night wear mein baith apni tange failayi.