Kumar Apartment : Season 2 – Part 69.2 (Shobha Bhabhi Ki Naatak Mein Masti)
Narrated by Shobha Tushaar firse meri taraf dekhne laga to main aage boli: Ab theek hai na bore nahi houngi tumhare sath. Kaam ki baato mein waqt nikal jayega. Tushaar: Haan haan wahi. Waise aapke pati kaha gaye hai? Main apne chehre par udaasi ka jhoota rang chada kar boli: Hmmm, bahar gaye hai, Mumbai. Tushaar: Ohh… Main: Woh aksar aise hi bahar chale jaate hai kaam ke silsile mein. Tushaar: Tum kyu nahi jaate to unke sath? Main: Woh leke nahi jaate, kahte hai woh meeting mein lage rahenge mujhe lejakar bhi koi fayda nahi. Tushaar: Oh… so sad! Main: Sad kyu, sahi kahte hai na? Tushaar: Agar meri biwi tumhare jitni khoobsurat hoti to main hamesha har jagah tumhe apne sath le jata. Main sharamne ka dhong karti hui boli: Ha-ha-ha, tum bhi Tushaar kuch bhi jhoot bol dete ho. Tushaar: Ha-ha-ha, nahi bilkul nahi, sach kah raha hun, waise woh kabse gaye hue hai. Main: Yahi aaj 3 din ho gaye. Tushaar: Oh no… to tum 3 din se akeli ho is ghar mein? Main firse udaas shakal banakar boli: Hmmm… haan. Tushaar: Bura na manna par tumhara pati sachme gair zimmedar hai. Main: Nahi nahi aisa mat kaho unke bare mein. Waise tumhari baato se tum kafi achche zimmedaar husband lagte ho. Tushaar: Haan woh to main hun hi. Jo bhi ho aise 3 din apni patni ko akele to nahi chor jata. Aur khaas kar jab biwi agar tumhare jitni khoobsurat hoto koi bhi mard na jaye. Main: Ha-ha-ha, tum waise kyu bole? Tushaar: Ha-ha-ha, bass aise hi kah diya. Main: Kahi tum aisa to nahi sochte ki khoobsurat biwi ko akele chor jaaye to koi aur… Tushaar: Ha-ha-ha, sahi pakdi tumne. Wahi kahna chahta hun par tumhare prati main waisa kuch nahi soch raha. Main: Kyu, main khoobsurat nahi hun? Tushaar: Are nahi… woh matlab nahi… matlab ki tum kafi gunni shishtacharo wali patni lagti ho. Lagta nahi ki aapke pati ke naa hone par koi aap par dore dale aur uski baat ban jaye. Main sochne lagi ki ye mujhe gunni shishtacharo wali kah raha hai. Agar jaan jaaye ki 2 ghante pahle main gym mein kya gunn wale kaam kar rahi thi to iske saare vichar palat jaaye. Main aage boli: Hmmm… tum kaise kah sakte ho ye, iska matlab tum mujhpe dore daal rahe ho par daal gall nahi rahi tumhari, ha-ha-ha! Tushaar: Ha-ha-ha, nahi nahi, tum bhi na Shobha, main tumpe dore nahi daal raha. Main apni tang par tang rakh apne dono hath apne ghutno par rakh baithi. Jisse mere baazu ke daabaw ke karan mere boobs aur ubhar uthe. Main boli: To matlab tumhare hisaab se mujhme dore dalne layak koi baat nahi. Tushaar: Are Shobha, tum mere har baat ki taang kheech rahi ho ab. Main: Ha-ha-ha, waise tum har baat par meri tareef kar rahe ho, ye dore daalna hi hua na. Tushaar: Bilkul nahi, ab taaj mahal ka tareef kare koi to woh shahjahaan banne ki koshish thodi kar raha hota hai. Main: Ha-ha-ha, waah… to main tumhe Taj mahal lagti hun? Tushaar: Taj-mahal to bas khoobsurati ka namuna hai, tum to khoobsurati ki jeeti jaagti misaal ho. Sach kahu to apni tareefe aur iski flirt mein mujhe kafi maza aane lagi. Main: Ha-ha-ha, ab kaho kya tum mere sath flirt nahi kar rahe. Tushaar: Ha-ha-ha, ab sach kahne ko flirt kahte hai to shayad haan. Main: Ajeeb ho tum bhi. Tushaar: Kyu? Ab kya hua? Main: Ek to shadi shuda ho aur uspar mujh jaisi shadi shuda aurat ke sath flirt kar rahe ho. Iska matlab apne kaam mein tum mujh jaisi shadi shuda client se aksar flirt karte hoge. Tushaar: Nahi Shobha bilkul nahi aur ye ho bhi nahi sakta. Main: Kyu nahi ho sakta? Tushaar: Woh meri koi bhi client ab tak tumhare jitni khoobsurat nahi thi. Mujhe usse apni tareefe sunne mein kafi maza aa rahi thi. Usse aur bolwane ke liye mein boli: Hmmm… chup raho ab, kafi hua tumhari banaawti baate Tushaar. Tushaar: Yakeen mano Shobha main sach kah raha hun. Mere bank ke aadhe se zyada client mard hote hai. Aur agar aurat hui to ya to woh 40-50 ki hoti hai. Ya fir aise jinhe dekh pani gale se na utare. Main: Aur main? Mujhme kya baat dikhi tumhe? Tushaar: Tum to… ab kya kahu… itna hi kah sakta hun ki meine shaadi kafi jaldbaazi mein karli. Main: Ha-ha-ha, to matlab main tumhari biwi se bhi khoobsurat hun? Tushaar: Haan bilkul. Tumhare samne to sabki biwiya fail hai. Main apne chehre ke samne aaye baalo ko ungliyo mein phiraati hui boli: Aysa kya khaas laga tumhe mujhme? Tushaar: Ha-ha-ha, lagta hai tumhe apni tareefe sunna kafi pasand hai. Main: Ha-ha-ha, nahi nahi, woh bas mere liye abtak kisi ne aisa kuch kaha nahi. Tushaar: Kya baat kar rahi ho? Iska matlab tum ghar se bahar kabhi jaati hi nahi hogi. Warna sare duniya ke mard kahenge ye baat. Main firse halki udaasi wali shakal banakar boli: Sare kya, mere to apne pati bhi meri tareef itna nahi karte. Tushaar: Shayad aapke pati ko khoobsurati ki pehchaan nahi. Main: Haan, woh to hamesha kaam mein hi rahte hai, aur ghar pe bhi kaam ki hi baate karte hai. Tum bhi aise hi ho kya apni patni ke sath. Tushaar: Nahi nahi, tumhare pati ki baat sunn kar lag raha hai ki main unse kafi behtar hun. Main: Woh kyu? Tushaar: Woh ab kaise bataun? Yoon kah lo ki main apni patni ko kafi waqt deta hun. Aur kaam ki baate to bilkul ghar nahi le jata. Main: Wow! Tum to bilkul adarsh pati ho, mujhe mere husband ko tumhare paas training ke liye bhejni padegi. Tushaar: Ha-ha-ha, bilkul par fees lunga uski tumse. Main: Ha-ha-ha, le lena… waise agar kaam ki baate nahi karte ho to kiss bare mein baate karte ho apni patni se. Tushaar: Woh to bahut sare kisse hote hai, uske ghar walo ke, mere ghar walo ke, hamare bhavishya ke aur… Main: Aur? Aur kya? Tushaar: Pata nahi woh kahna sahi hoga ya nahi. Main: Kya… bolona. Tushaar: Galat mat samajhna, par sex ke upar bhi baate hoti hai. Main jhooti sharam muh par lakar apne haato se muh chupati hui boli: Sex par? Tushaar: Haan… pati-patni ke beech to ye sadharan hai. Main: Par mere pati uspar utni dilchasbi nahi dikhate. Tushaar: Ohh… banda kafi alag hai matlab. Main: Hmmm. Tushaar kuch der papero ko dekhta raha.