Patni Ko Chhune Ka Adhikar Paaya
Meri shaadi 2017 mein Prerna (name changed for privacy) se dhoom dhaam se hui. Shaadi ke samay Prerna ke chehre par ajeeb nirasha dikhai de rahi thi. Prerna ki age 28 thi aur qualification MBA Finance tha. Woh MNC mein senior level pe job karti thi. Meri salary kam thi. Kheti aur jaaydaat dekhkar uske parents ne haan kar di thi. Suhagraat ke waqt mujhe bada jhatka laga jab meri biwi ne sachai batai. Biwi ne batai ki woh kisi se aur se pyar karti hai. Uski company mein woh job karta hai. Maine biwi uske premi ka naam pucha. Biwi ne Vikas naam bataya. Main: Apke parents ko apke affair ke bare mein khabar thi? Biwi: Haan par mummy ne mujhe kasam di thi yeh baat kisi ko naa batane ki. Main: Mere parivaar ki izzat mitti mein mil jayegi. Biwi: Sorry. Main aur biwi iska solution nikalne ki sochne lage. Biwi: Please yeh secret hamare beech hi rehne do Main: Theek hai. Tum apna mangalsutra nikal ke side mein rakho. Biwi: Kyun? Main: Iska koi matlab nahi. Biwi ne nikal diya. Main: Main niche chaddar bichha kar so jata hun. Aap bed par aaram se sona. Biwi: Thank you. Dusre din Main: Mangalsutra pehen lo. Mere parents ko shak ho jayega. Jab aap mere saath ho mangalsutra nikal sakti ho. Biwi: Achcha idea hai. Apko shaadi se pehle kisi ladki se pyar nahi hua? Main: Ghar ke riti rivaaj strict the. Kabhi himmat nahi hui. Agle 5 dino mein shaadi ke baad ke rasme khatam hui. Biwi: Kya main Vikas se milne jaau? Main: Haan par main bhi saath mein chalta hun. Hamare family friends bohut jyada hai Noida mein Biwi: Mujhe kisi aur ke saath dekhkar apko takleef nahi hogi? Main: Side mein khade rehkar bardaash kar lunga. Main aur biwi lovers park mein Vikas ka intezaar karte hai. 15 minutes baad Vikas stylish outfit mein aata hai Meri biwi mujhe Vikas se introduce karwati hai. Vikas: Prerna se main bohut pyar karta hun. Main: Meri biwi ne mujhe apke bare mein bataya Prerna: Vikas, mujhe tumse zaruri baat karni hai. Safe jagah par baith kar baat karte hai. Vikas: Theek hai, Prerna. Tumne itne simple aadmi se shaadi kyun ki? Prerna: Majburi thi. Par pati ne mujhse vaada kiya hai ki secretly woh hum dono ki shaadi karwane mein help karenge. Vikas: Bohut achchi baat hai. Par mujhe thoda waqt chahiye Prerna: Kitna waqt chahiye Vikas: Kareeb 6-7 mahine. Mera promotion hone wala hai. Thoda romance kare? Prerna: Jo karna hai shaadi ke baad. Vikas: Oh shit. Prerna: Pyar mein vishwas zaruri hai. Dheere dheere romance bhi hota hai Vikas: Theek hai. Kal fir se yeh spot pe milte hai. Bye. Prerna: Bye. 1-2 hafto tak milna julna hota hai Biwi: Aaj der ho gayi nikalne mein Main: Main Vikas ko park mein wait karne ke liye text karta hun. Biwi: Ah! Pet main zor se dard hone laga. Shayad period aa gaya. Main: Aap ghar jaao auto se main Vikas ko samjhata hun. Biwi: Theek hai. 10 min mein park pahunch jaata hun. Vikas kahi nazar nahi padta. Fir ghar ke liye nikalta hun. Traffic mein auto phasne ke baad side wali red scorpio mein Vikas dusri ladki ko kiss karte huye dikhai deta hai. Mujhe afsos hota hai ki meri biwi galat haathon mein na pad jaye. Main Vikas ki secret information nikalne ki sochta hun. Mujhe pata lagta hai ki usko sharab, drugs aur ek se jyada ladkiyon ke saath najayaz sambandh hai. Main biwi ko Vikas ka koi secret nahi batata hun. Hum family dinner ke liye 5 star hotel mein jaate hai. Meri biwi orange chiffon saree mein goddess lag rahi thi. Hotel pahuchne ke baad hum menu order karte hai. 20 minutes baad Vikas ek khubsurat ladki ke saath dikhai padta hai. Main biwi ke kaan mein puchta hun Vikas ki koi behen bhi hai kya. Biwi: Kahan hai Vikas Main: Woh dekho corner seat mein. Biwi: Vikas ne kabhi bataya nahi uski behen ke bare mein. Main: Itne chote kapde kyun pehne hai? Biwi: Chupchap dinner karo. Main: Hahaha. Meri biwi ka dhyan Vikas aur uss ladki ki taraf lagi rehti hai. Agle din main aur biwi lovers park jaate hai. Roz ki tarah main side mein alag baith jaata hun. Prerna: Kal woh 5 star hotel mein woh ladki kaun thi? Vikas: Meri sister thi. Mujhpe shak kar rahi ho? Prerna: Jeevan saathi banne waale hum. Puchna zaruri samjha. Vikas: Common babe. Paas aao na. Prerna: Limit cross ka darr lagta hai. Vikas: Ho jaane so cross Prerna: Tum jyada demanding hone lage ho. Har chiz ka right time hota hai. Achanak meri maa ki tabiyat kharab hone par maa ko hospital mein le jaate hai. Kuch ghante baad meri biwi ko same ladki dikhai padti hai jo 5 star hotel mein Vikas ke saath thi. Woh maternity doctor cabin mein baatchit karti hai. Meri biwi unki baatein bahar se sunti hai. Main apni maa ka halchal puchhne jaata hun. Thodi der baad maa ko hospital se discharge milta hai. Meri biwi ka chehra nervous nazar aata hai. Main: Tumhari aankh se aansu kyun aa rahe hai? Biwi: Woh ladki 1 month pregnant hai. Mujhe us ladki ne bataya. Main: Vikas aise nahi kar sakta. Biwi: Vikas ki harkat hai ye.Dhokebaaz nikla mera pyar. Main: Shaant ho jaao. Mein tumhe ek jagah lekar jaana chahta hun Biwi: Kal challenge. Virgin massage parlour par main aur biwi pahunch jaate hai. Main reception pe Vikas ka naam batata hun. Woh hume kamre ki taraf le jaata hai. Meri biwi darwaza knock karti hai. Escort girl darwaza kholti hai. Andar Vikas aur escort girl bina kapdo ke dikhai padte hai. Vikas: Tum yaha kaise? Prerna: Mera bhi tumse yeh sawaal hai ki tum yaha kaise? Vikas: Sorry Prerna galti ho gayi. Prerna: 6-7 mahine aisi gandi aiyashi karne ke liye chahiye tumhe. Mere feelings aur pyar ka insult kiya hai tumne Vikas: Please mujhe maaf kar do. aisi galti dubara nahi hogi. Prerna: Besharam kitne najayaz sambandh banaye hai tumne? Apni Behen ko pregnant kiya aur pata nahi kiske saath raasleela rachai hogi. Aaj se hamare rishta khatam. Gussa hokar biwi wahan se nikal jaati hai Main: Vikas sudhar jaao varna gandi bimariyon ka shikar ban jaaoge. Vikas: Tum mujhe mat sikhao. Main waha se nikal jaata hun biwi ko dhundne ke liye. Lovers park mein biwi phutphut kar rote huye nazar aati hai.