Udhaar Ki Muskaan – Episode 8
Desi Chudai
This story is part of the Udhaar Ki Muskaan series Ab tak aapne padha ki Paras ne Muskaan ko mana liya ki uska koi affair nahi hain. Muskaan se baat karte huye Mayur ne puchha ki kya wo Paras ke backup ke taur par Mayur ko dekhti hain aur Muskaan sochne lagi. Ab aage ki kahaani Mayur ki jubaani jaari hain… Mayur: “Koi jaldi nahi hain. Tu mujhe achchhe se soch kar 5 minute baad bata dena” Muskaan: “Achchha! 5 minute bhi kyu wait karna, main abhi bata deti hoon. Tu boyfriend laayak material nahi hain” Mujhe yeh sunne ki ummeed nahi thi. Paras ke hisaab se to main Muskaan ka backup option tha. Muskaan: “Tu boyfriend ka to nahi magar husband banne ka material jarur hain” Muskaan smile kar rahi thi aur yeh sunkar mujhe bahut dilasa mili aur meri bhi smile nikal gayi thi. Mayur: “Aesa nahi ho sakta ki tu Paras ko apna boyfriend maan le magar shaadi mujhse kar le?” Muskaan: “Idea to achchha hain magar tum dono ko problem ho jaayegi” Mayur: “Maine aur Paras ne aaj tak har chij share ki hain” Muskaan: “Main koi chij nahi hoon, insaan hoon. Ek baat dhyaan rakhna, Paras ke saamne mujhe kabhi ‘I love you’ mat bol dena. Teri jo mere liye feeling hain hum dono ke beech hi rahni chaahiye. Main tujhe allow kar rahi hoon yeh hi badi baat hain” Thode din baad Muskaan ka birthday aane wala tha aur wo mujhe aur Paras ko hamaare hi ghar par party dene waali thi. Paras ke kahne par main Muskaan ko shopping karaane le gaya jaha uske birtday gift ke taur par usko uski pasand ki dress dilwaayi. Muskaan ne declare kar diya ki uski birthday party ke baad wo raat ko hamaare yaha hi rukegi. Birthday ki ek raat pehle hi Paras ne mujhko apna agla plan bataya. Paras: “Jab se maine Muskaan se break-up ka socha hain in mahino mein main aur Muskaan physical nahi huye hain. Muskaan kal raat apni birthday par yaha sirf isliye ruk rahi hain kyuki wo mere saath physical hona chahati hain” Main ab chinta mein pad gaya. Haalanki Muskaan abhi bhi Paras ki girl friend hain magar aage to main usko apnaane wala tha. Paras: “Main uske saath kuchh karne ki tujhse permission nahi maang raha hoon” Mayur: “Matlab tu uske saath sab kar lega?” Paras: “Nahi. Jaise hi main aur Muskaan kamre mein jayenge to tu baahar se mujhe phone karna. Main bahana maar dunga ki mere uncle ka phone tha hospital se aur emergency mein jana hain” Yeh sunkar mujhe dilasa mili. Mayur: “Magar tu chala gaya to phir Muskaan ka kya hoga?” Paras: “Wo raat ko tere saath rahegi. Tere liye ek aur mauka hain usko apne pyaar ka vishwaas dilaane ka” Agli shaam Muskaan usi dress ko pahan kar aayi thi jo maine uski birthday gift ke taur par dilwaayi thi. Hum teeno ne achchhe se party ki aur Muskaan ne cake kaata. Muskaan us din bahut khush thi. Mujhe uska kaaran bhi pata tha. Jab hum sofe par baithhe the to Muskaan ne apne dono haatho se Paras ki ek baaju ko jhakad rakha tha aur sir Paras ke kandhe par rakha hua tha. Muskaan: “Andar chale kya?” Paras ne meri taraf dekha to Muskaan ne bhi meri taraf dekha. Muskaan: “Mayur, tujhe objection naa ho to hum thodi der andar jaaye!” Maine kandhe uchkaate huye bata diya ki mujhe koi objection nahi hain. Paras: “Main washroom hokar aata hoon” Paras andar gaya to maine Muskaan ko dekha aur apna sawaal daag diya. Mayur: “Aaj se pehle to tuney kabhi meri permission nahi li. Tum dono to yeh sab karte hi the” Muskaan: “Tuney mujhe ‘I love you’ bola hain. Tujhe bura lagega ki tere saamne hum andar ja rahe hain, isliye puchha” Mayur: “Main naa karta to tum nahi jaate?” Muskaan: “Agar tera dil dukhta hain to hum kahi aur karte, tere hote huye is ghar mein nahi karte” Mayur: “Sach kyu nahi bolti ki tu jaann bujh kar mujhe yeh puchh kar mera dil dukha rahi thi” Muskaan: “Paagal hain kya! Main tera dil kyu dukhaaungi. Hum jise pasand karte hain uska dil kyu dukhaayenge!” Mayur: “Kya kaha? Tu mujhe pasand karti hain?” Muskaan: “Haa, magar tu samajjh raha hain wo wala ‘pasand’ nahi” Tabhi Paras waha aa gaya aur Muskaan ne meri taraf dekh kar jaise permisson maang li. Maine muskura kar usko permisson de di aur wo Paras ke paas chali gayi. Paras aur Muskaan bedroom ki taraf badhe aur jaate jaate Paras ne mujhe phone karne ka ishara kar diya. Darwaja band hote hi kuchh seconds ke wait ke baad maine Paras ko phone kiya aur Paras ne apna emergency ka naatak kiya ki usko hospital jana hain. Agle 2 minute mein Paras bedroom ke baahar aaya aur uske peechhe Muskaan. Paras humko waha chhodkar chala gaya. Muskaan aakar phir se mere paas baithh gayi, wo thodi udaas thi uska bana hua plan bigad gaya tha. Mayur: “Tumhara program to kharaab ho gaya” Muskaan: “Tuney jarur boore man se permission di hogi isliye najar lag gayi” Mayur: “Jinko hum pasand karte hain usko buri najar nahi laga sakte hain. Aur yeh wo wala ‘pasand’ hain jo main chaahta hoon” Muskaan: “Maine jis ‘pasand’ ki baat ki thi wo dosti wala ‘pasand’ tha” Mayur: “Mera wala ‘pasand’ to love wala hain” Muskaan: “Jis din main Paras ke saath shaadi karke chali jaaungi us din tu kya karega?” Mayur: “Yeh bhi to ho sakta hain ki hum dono ki shaadi ho jaaye” Muskaan: “Mujhe ab teri bahut chinta ho rahi hain. Tu mujhe lekar itna possessive bhi mat ho ki tujhe problem ho jaaye” Mayur: “Tu bhi Paras ko lekar itna possessive mat ho ki tujhe problem ho” Muskaan gambhirta se mera chehra taak rahi thi. Muskaan: “Tu prove kar ki tu mere liye Paras se kyu behtar hain” Mayur: “Prove kar bhi diya to kya hoga?” Muskaan: “Main tujhe apna backup option bana lungi” Mayur: “Main apne aap ko Paras se behtar saabit kar lu phir bhi main backup hi rahunga kya?” Muskaan: “Tu prove karna to shuru kar. Kar diya to phir main tere ‘I love you’ ka reply karungi” Mayur: “Main tujhe Paras se bhi jyada pyar karta hoon.