Unexpected Unknown Honeymoon
Namaskak mai aap ka professor . Aapne meri kai kahani padhi hogi aaj mai aapko apne jiven ki ek aur ghatna sunata hu . Ye baat hai kuch saalo pehle ki jab mai gumne ke liye haridwar gaya tha . Mai aapko bata do mujhe gumne ka bhut shuk hai jab bhi chuttiya hoti hai mai kahi bhi chale jata hu mera bag hamesha pack hi rehta hai. To meri 10 din ki chuttiya thi, mai apne ghar se kolkata aaya flight li aur seedhe delhi aur delhi se dehradoon and waha se haridwar 6 hrs mai mai haridwar pauch chuka tha maine room rent pe liya aur fir mai room le ke thoda guma fir aa ke so gaya . Agle din mai subh 5 baje utha aur fresh ho ke apna ek pitthu bag le ke ganga ghat pe nikal gaya mai ek kinare pe ja ke baith gaya . Dus min baad maine dekha ki ek ladki kuch baccho ke saath waha aayi aur bachhe paani me khel ne lage aur wo unhe chear kar rahi thi usne ek brown colour ka kurti aur jeans daal rakhi thi kapde tu purane lag rahe the par ladki achhe ghar ke lag rahi thi . Fir aadha ghante ke baad wo waha se chali gayi mai bhi ek hotel me ja ke chay peene laga kareeb 9 baje mujhe wo ladki ghaat pe fir dikhi is baar wo akele baithi hui thi aur paani me pathar maar rahi thi ,mai uske paas gaya aur thodi der use dekha , wo ek achhe ghar ki lag rahi thi gora rang aur bharapoora sarrir par uske saath me koi nahi tha maine kaafi der dekhne ke baad usske paas ja ke baith gaya fir kareeb 5 min baad maine use hello kaha usne bhi hello kaha maine usse kaha kya hum baat kar sakte hai to wo boli nahi aur uth ke jaane lagi , maine awaj de ke kaha maaf kijiyega mai ek reporter hu aur ek story likh raha hu fir wo ruki aur boli achha kya story likh rahe ho . Maine kaha haridwar pe likh raha hu, halaki mene ye jhooth bola tha ye achanak mere muh se nikal gaya tha . Fir wo boli kya jaanna chahte ho maine kaha mai aapke sirf adha ghanta lunga kya hum kahi baith sakte hai . Wo boli theek hai fir wo mujhe ghaat ke opposite side le aayi waha pe thodi bheed kam thi fir wo aur hum ek pathhar pe baith gaye fir usne bola poocho kya poochna hai .Maine apne phone ko recarding mode pe on kar diya aur uske saame rakha. Sabse pehle maine uaka naam poocha to wo boli soni ,maine kaha bada pyara naam hai fir maine kaha haridwar me kab se ho wo boli 3mahine se maine kaha aap kaha rehti hai to wo boli yehi aashram me ye sun ke mera dimaag khanka ki itni sundar ladki ashram me . Fir maine uski age poochi to wo boli 27 hogi, Fir maine poocha aapki shaadi ho chuki hai to wo boli ha fir maine poocha ki wo aapke husband kaha hai to usne kaha usne mujhe chod diya hai , fir maine bola aapke maa baap wo boli unhone mujhe chod diya ,mere pariwar me koi nahi hai mai sab ke nazro mai mar chuki hu .Mai bada shok hua ye sun ke fir usne batya ki wo rajasthan ki rehne waali hai aur maa baap ne uaki shaadi 20 saal me kara di thi shaadi ke baad uska pati uska khayal nahi rakhta tha aur maarta peeta tha fir jab wo pregnant hui to jab uske sasuraal walo ko pata chala ki wo ladki janne wali hai to uska abortion karwa diya aisa unhone 3 baar kiya baad me kuch gadbadi ke karan ab wo ma nahi ban sakti thi . Fir uska pati dosri aurat le aaya aur usse ek ladka hua iske baad wo ab sirf naukraani thi ghar ki . Maine kaha aapne virodh nahi kiya to boli bhut kiya par maar peet ke kamre me band kar diya . Fir wo kai din tak waha band rahi . Uske maa baap ne use le jaane se mana kar diya, itna sab hone ke baad use pata nahi kaise booth badha ho gayi jise utarwane ke liye use mehndi pur balaji mandir ( waha booth badha utarte hai ) le gaye aur use kuch din ke liye wahi choad diya ,us din ke baad uske pariwar walo ne koi khabar nahi lo ye sab sunke mai thoda dar gaya tha but usne kaha ki ab wo theek hai . Kisi tarah wo waha se kisi tarike se baahg gayi aur kai dino tak idhar udhar gumne ke baad wo haridwar aa gayi maine poocha ki ab wo kaisi hai to wo boli mai theek hu is tarah usne apne baare mai bhut si shocking baat batayi. Ab kareeb 1 baj gaye mai use ek dhaabe me le ke aaya aur khana khilaya fir hum wohi aa ke baith agye fir usne bataya ki wo kapde wagerah daan ke pehnti hai aur kahi bhi fresh ho leti hai mujhe bhut asharya hua but haridwar mai hazaro log aise hi rehte hai , Fir maine kaha tum hamesa yehi rahogi to boli pata nahi, is tarah hame baat karte karte aath baj gaye fir usne kaha ki use jaana hai nahi to meri sone ki jagah koi aur le lega . Fir maine use 500 note diya aur kaha kuch le lena pehle to wo mana karne lagi lekin baad me rakh liya fir usne poocha aap kaha ruke ho to maine apna hotel bata diya .Fir wo boli kya kal aap miloge maine kaha theek hai par mujhe subh masoori jana hai wo boli theek hai fir hum paidal paidal uske aashram tak aaye. Fir wo waha se chali gayi mai bhi hotel aaya maine dinner kiya fir mai market aaya aur gumne laga achanak mujhe na jaane kya soojhi maine kuch ladies ke achhe se kapde kharide aur ek bag le ke usme rakh diya usme 2 sute aur 2/saari peticote aur blouse the maine socha ki agar soni mili to use de dunga nahi to daan de dunga. Fir mai so gaya agle din mujhe masoori jana tha mai kareeb 7 baje hotel se walk karne nikla to dekha ki waha soni khadi hai usne ek sundar si saadi pehni thi aur thoda makeup kiya tha .Aur hotel ke saamne khadi thi mujhe dekh ke wo mere paas aayi aur boli nameste sahab use dekh ke mai bhut kush hua use dekh ke fir maine kaha bhut sundar lag rahi ho soni , usne bola ki ye saadi usne unhi paiso se khareedi thi fir maine poocha nasta kiya tumne wo boli nahi fir mai use le ke ek restorent me gaya humne waha nashta kiya Aur maine usse kaha ki mai ab masoori ja raha hu to wo thodi udaas ho gai fir boli aur ruk jaate maine kaha nahi fir thodi der baad wo achank boli sahab mujhe bhi masoori dekhne ka bada man hai mujhe bhi le chalo , mai thoda chuka fir maine bola tumhe par mai ….. Ise pehle mai kuch aur bol pata .Wo boli sahab please mujhe bhi dekhna hai. Fir maine kaha theek hai chalo .